TALASH AB NAE RAHI

https://greenmartinz.blogspot.com/
zindagi guzer jati hay sabaq her qadam qadam pay parhatay huay.. subah k 9 baj rahy thay or din bht aham tha aj ka. 9 may 1984 ka din bht ajeeb sa tha bht taiz taiz ho raha tha sub kuch khaaz intezaam tha ek lambay intezaar ka.. jaldi jana hay esay uthao sub sath chaltay hain. or main usi din gehri neend sona chahta tha ponay 2 saal ki umer thi or shyed qudrat chahti thi k main sota rahoon. un ko jana tha aj shyed kabhi na wapis anay k leye ticket ok kerwani thi aj shaam ko hong kong k leye rawana hona tha... lekin khechay khechay say thay is leye dil tha k sub jayen waqt kam tha or dil main so sawaal khayaal waswasy ankhoo k rastay dikh rahy thy judai ka time bht bayreham hota hay juda ker deta hay muskuratay muskuratay rooh k rishtay bhi choot jatay hain yahaan lekin dard kaa jaam to penay k baad he mehsoos hota hay jo peta hay wohi apni rooh ko cheer cheer k is jaam k mazay leta hay. ek qehqo bhara angan her teraf jahan khushyan hoo judai tofaan ki terha ati hay or sub rait ban k hawa main ura k lay jati hay. din dupaher main dhal gaya or 5 bajay ki flite say jana tha unhe 2 say 3 bajay 3 say 4 baycheni nay her teraf apny panjay gaar deye flite ka time bhi guzer gaya lekin wo nae aye qyamet dekhi kitni ankho ny us din ajeeb wehshat hoti hay soch k koi esay bhi ja skta hay naam o nishaan bhi na milay..... hayeee khudaya zindagi ka aghaaz hi azmaish say dia bachay khilonay mangtay thay or mujhee dalasa milta tha k beta ap k abu lay k aye gay. kia hua kahan gaye wo? gum ho gaye hain dua kro ajye gay apnay nanhay hatho say. meri ma k dalasay haye apnay apko bhi deti thi or mujhee bhi lekin waqt kis ki parwa krti hay insaan he wafaa ki dastany choor jatay hain dosro k naam pay zindagi guzaar k. ek teraf apna bachpan apni behan ka bachpan or jawaan maa k ansoo dil main khuwahishaat k pahaar rooz zindagi moot k mazay chakhati thi. ek ourat bht mazboot ourat nay apnay par khool k us main chupay rakha tamaam umar gham walay charkhay ko bun bun k paalti rahi meri maa. dunya walo nay bht dastanain likhi hongi lekin shyed he koi esi dastaan kesi nay phari ho jis main tamaam umer inteezar main kaat di ho wafa or pasdari main mujhee apni ma ki muskurahat nae bholti or sari raat jay namaaz main rotay rehna kabhi kis faqeer peer k paas jana hay k shyed ye bata dain lekin taqdeer apna faisla likh chuki thi is azmaish say hamain guzerna tha lamhay saloo main tabdeel ho gaye main jawaan ho gaye lekin meri ma ki umeed nae toti kehti thi aye gay wo zarror aye gay beta dekhna ek din main ny kehna ami allah apki zubaan qabool kray oct ka mahena tha shaam k 4 ya 5 ka time tha mujhee baray pyaar say kaha betaa ap k abu nay nae ana ab itna kehna tha k main choonk gaya main ny kaha ami esa nae sochtay ap keh kio rahi ho esa kehnay lagi nae beta buss ab unho nay nae ana itna he kehna tha kuch dair baad ami nay meray kandhay pay sir rakh k is zalim kadah say perwaaz ker gaye allah pak meri ami k darjaat ko un k ghamo k badulat bht bulend kray or akhrat main asania peda kray