KHAWAJA SARA KOON HAIN UNKI ZINDAGI PER MABNI MUKHTLIF KAHANIA

khusra kesa ajeeb lafz hay kya ye mard hotay hain ya aurat jahanzaib jub bhi inko dekhta sochta or ajeeb ajeeb swaal apny chotay say dmaag main pedaa kerta phir un k jawaab khud he gharta. nanha damaag kya janay k ye khaliq ki azmaish hain ham per bhi or khud un per bhi. yee ajeeb kahani neelam ki hay raat bht ho chuki thi apnay he bhaio nay maar maar k ghur say nikaal dia androon shehar ki patli glya tofani barish or raat ki tareeki main neelam missfit apnay naam ki terha her jagah missfit thi shyed uper walay nay usko banaya he logo ki azmaish k leye tha na to wo kesi ki behan thi na ma na he bhai or na beta wo waqai miss fit thi. ma k marnay k baad or baap ki chaheti sarko pay esay rulay gi us ny kabhi taswar bhi nae kia tha wo bhai jin ki je hazori main zindagi guzri aj un k leye wo missfit thi ek daagh thi. 

 

kesi zindagi kabhi hamny socha ye loog kesay jetay hain? 

dukh suna nay k leye koi nae behan bhai nae dost nae bahir niklo to her ek nazer or phatkaar say bharay qehqahy borhay say lay kr bachay tak her ek tamasha banay awazay kasay or chair chaar karay. saray din ki khaak chaan ker raat ko tanhai ki shayen shayen. kesi kitaab main ziker nae kesi qissay main ziker nae

khusra marta bhi khusra he jeeta bhi khusraa hay na kesi ko apny pechay choor k jata hay na he koi us k baad us k leye koi rota hay. 

raat k 2 baj rahy thy neelam nay chal chal k thak ker dekha to yadgaar a chuka tha geli mitti pao pay mehndi ki terha sookh k chimat gae thi machro ki bhin bhin kano mai apnay taal mila rahin thi k achanak ankh lagi or subah ki pehli kiran nay neelam ki ankh ko bedaar kr dia door ek bay ghur bay asra fqeer kahin say naan pay chanay dalwa k la raha tha k neelam per nigaah party he wo choonk gaya k is time ye koon or is haal main shyed wo usay koi larki smjha jab baat krny pay awaaz mardana or chaal dhaal....    to be continue....