Serdi ki ratain grma gram soup pi ker time dekha to 1 baj rahy thy pochny pay pata chala k munnay ka doodh khatam hay khair is umeed pay k shayed koi to dukaan khuli ho gi main nikal para or chaltay chaltay socho main ghum ghup sannatay main andheri galio main ghomta is aas pay k allah karay koi dukaan khuli ho achanak kanoo say ek dard bhari awaaz tekrai or main chaltay chaltay us awaaz ki simt mur gaya or ahesta ahesta us gali ki janib pohench gaya jahan say awaaz a rahi thi... mawaa baaj rull janda ay banda.. ye awaaz meray dil ko cheer gaye thi shyed mujhee apni maa ki yaad agye main qareeb gaya to dekha ek 25 27 saal ka larka zameen pay betha apnay pao k zakham ki patti change kr raha tha or dard us ki ankhoo say zahir ho raha tha jo us ki awaaz main bhi jhalak raha tha. yaar kaha say ho kya hua? bhai ji mera naam sajid hay kuch dino pehlay accident hua zakham main pas par gaye ab dard bht hay app k bacho ka bhala ho allah apki her hajat pori kray us ny hazaroo qemti duayen ek saans main day di. main nay pocha us say yaar nashy kertay ho? bht sach goi say kaha ji bhai krta ho maa k baad ghur k halaat kuch esay kharaab huay zamnay ki beh rehmiyo or sahibe istetaat logo ny jab hath nae pakraya to sood pay qarz lia barhty barhty aj sarak pay agaya aj na ghur baar na dost na bhai behan ek maa thi or ab allah jo pait palta hay.. g darta ho mar gaya to uper wala bhi mujhee tasleem kray ga k nae kash meri maa zinda hoti to aj esay na hota bhai meray bhi bht thaat hotay thay rooz meri maa mujhee tayaar krti thi apko apni tasweer dekhao ga ek motercycle bhi thi... sono sajid main tumhara bhai utho meray galay lagoo.. bhai mujh say koi slaam nae krta app galay lagnay ka keh rahy hain. main nay zoor ka qehqa lagaya or kaha main bhi tum jesa ho meri maa bhi nae hay to wo bhi hansny laga apny ansoo poch k ek jadoo ki japhi di zoor ki jaib main hath mara to us waqt 300 thay meri jaib main jis main say 100 sajid ko deye or baqi dodh k leye rakhhy or kaha k sajid jani meray bhai plzz wada kro nasha chooro k apni zindagi ko dubara zinda kro gay us nya kaha bhai na mumkin hay main ny kaha mumkin mil k banay gay muskuraya or kaha chalo agli jumerat ko ao ga bhai likin her jumerat ko main uski awaaz ki talash main nikalta ho likin wo maa ka laaal kahin kho gaya syed ammar kazmi